Ghair Ke KHat Mein Mujhe Un Ke Payam Aate Hain

ghair ke KHat mein mujhe un ke payam aate hain

koi mane ya na mane mere nam aate hain

aafiyat-kosh musafir jinhen manzil samjhen

ishq ki rah mein aise bhi maqam aate hain

ab mere ishq pe tohmat hai hawas-kari ki

muskuraate hue ab wo lab-e-baam aate hain

ab nae rang ke sayyaad hain is gulshan mein

said ke sath jo baDh ke tah-e-baam aate hain

dawar-e-hashr mera nama-e-amal na dekh

is mein kuchh parda-nashinon ke bhi nam aate hain

jin ko KHalwat mein bhi 'tasir' na dekha tha kabhi

mahfil-e-ghair mein ab wo sar-e-am aate hain

(1346) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghair Ke KHat Mein Mujhe Un Ke Payam Aate Hain In English By Famous Poet Mohammad Deen Taseer. Ghair Ke KHat Mein Mujhe Un Ke Payam Aate Hain is written by Mohammad Deen Taseer. Read famous Poem Ghair Ke KHat Mein Mujhe Un Ke Payam Aate Hain for youth and Student by Mohammad Deen Taseer. Free Download Ghair Ke KHat Mein Mujhe Un Ke Payam Aate Hain in PDF.