Husn Ke Raaz-e-nihan Sharh-e-bayan Tak Pahunche

husn ke raaz-e-nihan sharh-e-bayan tak pahunche

aankh se dil mein gae dil se zaban tak pahunche

dil ne aankhon se kahi aankhon ne dil si kah di

baat chal nikli hai ab dekhen kahan tak pahunche

ishq pahle hi qadam par hai yaqin se wasil

intiha aql ki ye hai ki guman tak pahunche

kaba-o-dair mein to log hain aate-jate

wo na lauTe jo dar-e-pir-e-mughan tak pahunche

aankh se aankh kahe dil se hon dil ki baaten

wae wo arz-e-tamanna jo zaban tak pahunche

(783) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Husn Ke Raaz-e-nihan Sharh-e-bayan Tak Pahunche In English By Famous Poet Mohammad Deen Taseer. Husn Ke Raaz-e-nihan Sharh-e-bayan Tak Pahunche is written by Mohammad Deen Taseer. Read famous Poem Husn Ke Raaz-e-nihan Sharh-e-bayan Tak Pahunche for youth and Student by Mohammad Deen Taseer. Free Download Husn Ke Raaz-e-nihan Sharh-e-bayan Tak Pahunche in PDF.