London Ki Ek Sham

ye rahguzar

ye zan o mard ka hujum ye sham

faraaz-e-koh se jis tarah naddiyan sar par

liye hue shafaq-alud barf ke paikar

safed jhil ki aaghosh mein simaT jaen

ye tund-gam subuk-sair karwan-e-hayat

na ibtida ki KHabar hai na intiha malum

kidhar se aae kidhar ja rahe hain kya malum

sunahri sham

ye 'e-rose' jhilmilata hua

bandha hua hai nishana khinchi hui hai kaman

kise ye tir lagega

kahan? yahan ki wahan!

nazar nazar se mili dil ka kaam KHatm hua

sunahri sham

ye 'erose' jagmagata hai

koi hanse koi roe ye muskuraata hai

isi maqam pe phir lauT kar mein aaya hun

ye rahguzar ye zan o mard ka hujum ye sham

ye tund-sair subuk-gam karwan-e-hayat

ye josh-e-rang ye Tughyan-e-husn ke jalwe

yahin ke nur se raushan meri nigahen hain

mere shabab ki rondi hui ye rahen hain

wahi maqam hai lekin wahi maqam nahin

ye sham to hai magar wo sunahri sham nahin

wo roab-dab nahin hai

wo dhum-dham nahin

wo main nahin hun

ki un ka main ab ghulam nahin

sanam-kadon mein ujale nahin rahe ki jo the

ki ab wo dekhne wale nahin rahe ki jo the

(1021) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

London Ki Ek Sham In English By Famous Poet Mohammad Deen Taseer. London Ki Ek Sham is written by Mohammad Deen Taseer. Read famous Poem London Ki Ek Sham for youth and Student by Mohammad Deen Taseer. Free Download London Ki Ek Sham in PDF.