Barun-e-dar Nikalte Hi Bahut Ghabra Gaya Hun

barun-e-dar nikalte hi bahut ghabra gaya hun

main jis duniya mein tha kyun us se wapas aa gaya hun

koi sayyara mere aur us ke darmiyan hai

main kya tha aur dekho kis tarah gahna gaya hun

mujhe ras aa na paenge ye pani aur miTTi

ki main ek aur miTTi se hun aur murjha gaya hun

main patthar chum kar tahlil ho jaata hawa mein

magar zinda hun aur haihat wapas aa gaya hun

kahan main aur kahan darbar ka jahl-o-takabbur

magar ek ism ki tasbih jis se chha gaya hun

(477) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Barun-e-dar Nikalte Hi Bahut Ghabra Gaya Hun In English By Famous Poet Mohammad Izhar Ul Haq. Barun-e-dar Nikalte Hi Bahut Ghabra Gaya Hun is written by Mohammad Izhar Ul Haq. Read famous Poem Barun-e-dar Nikalte Hi Bahut Ghabra Gaya Hun for youth and Student by Mohammad Izhar Ul Haq. Free Download Barun-e-dar Nikalte Hi Bahut Ghabra Gaya Hun in PDF.