Bas Ek Raat Mere Ghar Mein Chand Utra Tha

bas ek raat mere ghar mein chand utra tha

phir is ke baad wahi main wahi andhera tha

saba ka narm sa jhonka tha ya bagula tha

wo kya tha jis ne mujhe muddaton rulaya tha

ajab uThan liye tha wo ghairat-e-shamshad

tabah-haal dilon ka kahan Thikana tha

andheri sham thi baadal baras na pae the

wo mere pas na tha aur main khul ke roya tha

zamin mein dafn mujhe kar gaya hai jite-ji

to kya main us ke liye qimti KHazina tha

jhulas jhulas ke main anjam-kar Dub gaya

wo tha sarab magar paniyon sa gahra tha

nishan kahin bhi na the us ki ungliyon ke magar

main ghar ki dekh ke ek ek chiz roya tha

jale to sath jalengi ye jhaDiyan 'izhaar'

kisi ke shahr mein to dard yun na baTta tha

(504) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bas Ek Raat Mere Ghar Mein Chand Utra Tha In English By Famous Poet Mohammad Izhar Ul Haq. Bas Ek Raat Mere Ghar Mein Chand Utra Tha is written by Mohammad Izhar Ul Haq. Read famous Poem Bas Ek Raat Mere Ghar Mein Chand Utra Tha for youth and Student by Mohammad Izhar Ul Haq. Free Download Bas Ek Raat Mere Ghar Mein Chand Utra Tha in PDF.