KHizan Tujh Par Ye Kaisa Barg-o-bar Aane Laga Hai

KHizan tujh par ye kaisa barg-o-bar aane laga hai

mujhe ab mausamon par e'tibar aane laga hai

kahan dopahr ki hiddat kahan ThanDak shafaq ki

siyah resham mein chandi ka ghubar aane laga hai

khulenge wasl ke dar dusri duniyaon mein bhi

bil-aKHir hijr ke ruKH par nikhaar aane laga hai

mere asbab mein mashkiza-o-KHurjin rakhna

safar ki sham hai aur regzar aane laga hai

falak ko bar bar ahl-e-zamin yun dekhte hain

ki jaise ghaib se koi sawar aane laga hai

(624) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHizan Tujh Par Ye Kaisa Barg-o-bar Aane Laga Hai In English By Famous Poet Mohammad Izhar Ul Haq. KHizan Tujh Par Ye Kaisa Barg-o-bar Aane Laga Hai is written by Mohammad Izhar Ul Haq. Read famous Poem KHizan Tujh Par Ye Kaisa Barg-o-bar Aane Laga Hai for youth and Student by Mohammad Izhar Ul Haq. Free Download KHizan Tujh Par Ye Kaisa Barg-o-bar Aane Laga Hai in PDF.