Mata-e-be-baha Aansu Zamin Mein Bo Diya Tha
mata-e-be-baha aansu zamin mein bo diya tha
palaT kar jab tera ghar main ne dekha ro diya tha
asa dar dast hun us din se binai nahin hai
sitara aankh mein aaya tha main ne kho diya tha
zamane husn sarwat hech sab us ke muqabil
tahi-kesa ko us pahli nazar ne jo diya tha
paron ki arghawani chhanw phailai thi sar par
bahishti nahr ka pani musafir ko diya tha
bas ek qindil thi jalti hui apne lahu mein
yahi nazrana dena tha haram mein so diya tha
(511) Peoples Rate This