Najat Ke Liye Roz-e-siyah Mangti Hai

najat ke liye roz-e-siyah mangti hai

zamin ahl-e-zamin se panah mangti hai

bhara na atlas-o-marmar se peT KHilqat ka

ye bad-nihad ab aab-o-giyah mangti hai

riyazaton se farishta-sifat to ho na saki

mohabbat aai hai tab-e-gunah mangti hai

wo rang-e-kucha-o-bazar hai ki ab basti

gharon se dur alag qatl-gah mangti hai

ragon mein dauDta phirta hai ijz sadiyon ka

raiyat aaj bhi ek baadshah mangti hai

(599) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Najat Ke Liye Roz-e-siyah Mangti Hai In English By Famous Poet Mohammad Izhar Ul Haq. Najat Ke Liye Roz-e-siyah Mangti Hai is written by Mohammad Izhar Ul Haq. Read famous Poem Najat Ke Liye Roz-e-siyah Mangti Hai for youth and Student by Mohammad Izhar Ul Haq. Free Download Najat Ke Liye Roz-e-siyah Mangti Hai in PDF.