Namak In Aansuon Mein Kam Na Tha Par Nam Bahut Achchha

namak in aansuon mein kam na tha par nam bahut achchha

gharon mein dana-e-gandum na tha matam bahut tha

meri aankhon pe bhi zartar parde jhulte the

tere baalon mein bhi kuchh in dinon resham bahut tha

maze sare tamasha-gah-e-duniya mein uThae

magar ek baat jo dil mein thi jis ka gham bahut tha

siyahi raat ki pichhe samundar din ka aage

sitara subh ka meri tarah maddham bahut tha

badalte ja rahe the jism apni haiaten bhi

ki rasta tang tha aur yun ki us mein KHam bahut tha

(555) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Namak In Aansuon Mein Kam Na Tha Par Nam Bahut Achchha In English By Famous Poet Mohammad Izhar Ul Haq. Namak In Aansuon Mein Kam Na Tha Par Nam Bahut Achchha is written by Mohammad Izhar Ul Haq. Read famous Poem Namak In Aansuon Mein Kam Na Tha Par Nam Bahut Achchha for youth and Student by Mohammad Izhar Ul Haq. Free Download Namak In Aansuon Mein Kam Na Tha Par Nam Bahut Achchha in PDF.