PaDe Hue Hain Mere Jism O Jaan Mere Pichhe

paDe hue hain mere jism o jaan mere pichhe

hai ek lashkar-e-ghaarat-giran mere pichhe

pas-e-wafat ye be-dastaKHat meri tahrir

nahin hai aur koi bhi nishan mere pichhe

mere mulazim o KHargah asp aur shatranj

sab aaen nazm se matam-kunan mere pichhe

guzar rahi hai andhere mein us badan par kya

na khul sakegi yahi chistan mere pichhe

uThi hui mere sar par azal se hai talwar

khinchi hui hai abad se kaman mere pichhe

ghira hua hun janam-din se is taaqub mein

zamin aage hai aur aasman mere pichhe

(606) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

PaDe Hue Hain Mere Jism O Jaan Mere Pichhe In English By Famous Poet Mohammad Izhar Ul Haq. PaDe Hue Hain Mere Jism O Jaan Mere Pichhe is written by Mohammad Izhar Ul Haq. Read famous Poem PaDe Hue Hain Mere Jism O Jaan Mere Pichhe for youth and Student by Mohammad Izhar Ul Haq. Free Download PaDe Hue Hain Mere Jism O Jaan Mere Pichhe in PDF.