Shab-e-hijran

hawa be-mehr thi us raat ThanDi aur kaTili

sans lena sar se unchi lahr se Takkar lagana tha

sada koi nahin thi

samt ki tayyun mushkil thi

nashebi bastiyon mein raste ek dusre mein KHatm hote the

tujhe kya alam hai wo raat sar-ta-pa shab-e-hijran hamare haq mein kaisi thi

lakiren hath ki na-mehrban

matha maishat ki tarah tang aur ghar barkat se chehra nur se aari

gunahon ka kya maqdur tha achchha amal bhi ho nahin paya

kisi buDhiya ki kuTiya mein diya jhaDu

na roe ba-wazu ho kar

na kuchh tartil na tahlil

honTon se dua hi phuTti lekin hamari tera rozi raat ke har brij par

bedar aur choukas thi

gahe gahe ek lalkar aati thi azal ki lauh se

aur hum manon miTTi ke niche sahm jate the

hawa be-mehr thi us raat ThanDi kaTili

sans lena sar se unchi lahr se Takkar lagana tha

(663) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shab-e-hijran In English By Famous Poet Mohammad Izhar Ul Haq. Shab-e-hijran is written by Mohammad Izhar Ul Haq. Read famous Poem Shab-e-hijran for youth and Student by Mohammad Izhar Ul Haq. Free Download Shab-e-hijran in PDF.