Hai Safar Mein Karwan-e-bahr-o-bar Kis Ke Liye

hai safar mein karwan-e-bahr-o-bar kis ke liye

ho raha hai ehtimam-e-KHushk-o-tar kis ke liye

kis ki KHatir zaiqon ki saKHtiyon mein hain samar

aur jhuk jati hai shaKH-e-barwar kis ke liye

kis ki KHatir hain badalte mausamon ki barishen

dil ghamin kis ke liye hai chashm tar kis ke liye

rat-jagon mein gunjne wali sadaen kis ki hain

hai hunar kis ke liye arz-e-hunar kis ke liye

kis ne zaKHm-e-na-rasi se bhar diye hain raste

chaarasazi kis liye hai chaaragar kis ke liye

la-makan mein kaun rahta hai makan mein kya nahin

dasht hain kis ke liye diwar-o-dar kis ke liye

kis ne rakkhi hain har ek manzar mein rangin saaten

KHalq farmae gae hain be-basar kis ke liye

kaun sunta hai hawaon ki ajab sargoshiyan

aur jati hain hawaen dar-ba-dar kis ke liye

(805) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Safar Mein Karwan-e-bahr-o-bar Kis Ke Liye In English By Famous Poet Mohammad Khalid. Hai Safar Mein Karwan-e-bahr-o-bar Kis Ke Liye is written by Mohammad Khalid. Read famous Poem Hai Safar Mein Karwan-e-bahr-o-bar Kis Ke Liye for youth and Student by Mohammad Khalid. Free Download Hai Safar Mein Karwan-e-bahr-o-bar Kis Ke Liye in PDF.