Ghazal Apni Riwayat Hai Ghazal Tahzib Se Hogi

ghazal apni riwayat hai ghazal tahzib se hogi

kisi ki husn-arai kisi taqrib se hogi

baham hain bijliyan aatish sharare nau-ba-nau tufan

mere KHirman ki barbaadi baDi tarkib se hogi

ajab tarz-e-taghaful hai dikha kar aag is dil ko

wo farmate hain ye aatish-zani taKHrib se hogi

kaf-e-saiyaad dam-e-KHush-numa zanjir o zindan tak

asiri umr ki hogi magar tartib se hogi

taqaza-e-mohabbat hai ki tazin-e-gulistan ho

jo dast-e-ghair se hogi na kuchh tansib se hogi

meri diwangi par wo pasheman ho gae honge

unhen bhi to pareshani kisi tajib se hogi

mohabbat mein kisi parda-nashin se guftugu yaro

kabhi ramz o kinae se kabhi tashbib se hogi

(609) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghazal Apni Riwayat Hai Ghazal Tahzib Se Hogi In English By Famous Poet Mohammad Khalid. Ghazal Apni Riwayat Hai Ghazal Tahzib Se Hogi is written by Mohammad Khalid. Read famous Poem Ghazal Apni Riwayat Hai Ghazal Tahzib Se Hogi for youth and Student by Mohammad Khalid. Free Download Ghazal Apni Riwayat Hai Ghazal Tahzib Se Hogi in PDF.