Ek Rabt Tha Ba-rang-e-digar Bhi Nahin Raha

ek rabt tha ba-rang-e-digar bhi nahin raha

diwar kya giri koi dar bhi nahin raha

ab tak hai tu bhi aur teri haibat bhi be-misal

dil wo nahin hai dil mein wo Dar bhi nahin raha

kya ho agar labon pe abhi tak hai koi pyas

sahra mein jab sarab-e-nazar bhi nahin raha

us zaiqe se apni shanasai kya hui

go shaKH wo nahin wo samar bhi nahin raha

ab tak koi qayam ki saat nazar na aai

darpesh agarche koi safar bhi nahin raha

chhuTe hain aaise bar-e-safar se tamam log

jaise kisi ke dosh pe sar bhi nahin raha

mar se gae hain sang-e-malamat ke walwale

sar mein junun-e-arz-e-hunar bhi nahin raha

(510) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Rabt Tha Ba-rang-e-digar Bhi Nahin Raha In English By Famous Poet Mohammad Khalid. Ek Rabt Tha Ba-rang-e-digar Bhi Nahin Raha is written by Mohammad Khalid. Read famous Poem Ek Rabt Tha Ba-rang-e-digar Bhi Nahin Raha for youth and Student by Mohammad Khalid. Free Download Ek Rabt Tha Ba-rang-e-digar Bhi Nahin Raha in PDF.