Dilon Se Dard Dua Se Asar Nikalta Hai

dilon se dard dua se asar nikalta hai

ye kis bahisht ki jaanib bashar nikalta hai

paDa hai shahr mein chandi ke bartanon ka riwaj

so is azab se ab kuza-gar nikalta hai

miyan ye chadar-e-shohrat tum apne pas rakho

ki is se panw jo Dhanpen to sar nikalta hai

KHayal-e-gardish-e-dauran ho kya use ki jo shaKHs

girah mein man ki dua bandh kar nikalta hai

main sang-e-mil hun patthar nahin hun raste ka

so kyun zamana mujhe raund kar nikalta hai

mere suKHan pe tu dad-e-suKHan nahin deta

teri taraf mera qarz-e-hunar nikalta hai

suKHnwaran-e-qad-awar mein tera qad 'muKHtar'

ajab nahin hai jo baalisht-bhar nikalta hai

(506) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dilon Se Dard Dua Se Asar Nikalta Hai In English By Famous Poet Mohammad Mukhtar Ali. Dilon Se Dard Dua Se Asar Nikalta Hai is written by Mohammad Mukhtar Ali. Read famous Poem Dilon Se Dard Dua Se Asar Nikalta Hai for youth and Student by Mohammad Mukhtar Ali. Free Download Dilon Se Dard Dua Se Asar Nikalta Hai in PDF.