Husn Aur Ishq Ko Farq-e-nazari Kyun Kahiye

husn aur ishq ko farq-e-nazari kyun kahiye

mai ki tasir ko ek be-KHabari kyun kahiye

har-nafas zist ka ho jae agar waqf-e-talash

justuju kahiye use dar-badari kyun kahiye

koh-o-sahra hi nahin arsh ki lata hun KHabar

meri parwaz ko be-baal-o-pari kyun kahiye

kashtiyan Dub ke ubhren jo kisi tufan mein

na-KHudaon ki use dida-wari kyun kahiye

bujhte bujhte bhi andheron ki rahe jo dushman

aisi hasti ko charagh-e-sahari kyun kahiye

jab sulajhti na ho koshish se bhi uljhi hui baat

phir to haalat ko aafat se bari kyun kahiye

ek koshish thi jo nakaam rahi qismat se

'asr' kuchh kahiye use be-hunari kyun kahiye

(518) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Husn Aur Ishq Ko Farq-e-nazari Kyun Kahiye In English By Famous Poet Mohammad Naqi Rizvi Asr. Husn Aur Ishq Ko Farq-e-nazari Kyun Kahiye is written by Mohammad Naqi Rizvi Asr. Read famous Poem Husn Aur Ishq Ko Farq-e-nazari Kyun Kahiye for youth and Student by Mohammad Naqi Rizvi Asr. Free Download Husn Aur Ishq Ko Farq-e-nazari Kyun Kahiye in PDF.