KHudaya Kash Tujhi Ko Gawah Kar Lete

KHudaya kash tujhi ko gawah kar lete

nigah-e-KHalq se bach kar gunah kar lete

hayat KHud hi mere dard ki pasban hoti

urus-e-marg se ek din jo chah kar lete

falak na rahta na ru-e-zamin ki rangini

tumhaare jaur-o-sitam par jo aah kar lete

na karte jabr kisi par bhi log phir shayad

jo iKHtiyar pe apne nigah kar lete

gadagari ke to ilzam se bache rahte

hum apne sar pe agar kaj-kulah kar lete

hamari fikr ka thoDa sa to sila milta

jo ahl-e-bazm hi kuchh wah wah kar lete

nibah lete zamane se hum bhi mar-khap kar

jo aap 'asar' ke dil mein na rah kar lete

(511) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHudaya Kash Tujhi Ko Gawah Kar Lete In English By Famous Poet Mohammad Naqi Rizvi Asr. KHudaya Kash Tujhi Ko Gawah Kar Lete is written by Mohammad Naqi Rizvi Asr. Read famous Poem KHudaya Kash Tujhi Ko Gawah Kar Lete for youth and Student by Mohammad Naqi Rizvi Asr. Free Download KHudaya Kash Tujhi Ko Gawah Kar Lete in PDF.