Na Sar-nigun Na Ba-zahir Udas Udas Chale

na sar-nigun na ba-zahir udas udas chale

ajib shan se marne wafa-shanas chale

bana ke KHugr-e-ehsas-e-dard-o-gham-e-dil ko

hamare pas se sare hujum-e-yas chale

suna ke ahl-e-junun ko bahaar ka muzhda

hawas wale bhi ek samt bad-hawas chale

hayat nam hai aise safar ka ai hamdam

qadam qadam pe jahan fikr-e-as-o-yas chale

zaban pe aae to Dar hai bane na afsana

wo baat jis pe bahut har taraf qayas chale

hamari dalq-nawazi pe rashk karne ko

suna hai dair-o-haram se nazar-shanas chale

maza to jab hai bahaaron ki faiz-o-baKHshish ka

ki 'asr' jam bhi be-arz-o-iltimas chale

(510) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Sar-nigun Na Ba-zahir Udas Udas Chale In English By Famous Poet Mohammad Naqi Rizvi Asr. Na Sar-nigun Na Ba-zahir Udas Udas Chale is written by Mohammad Naqi Rizvi Asr. Read famous Poem Na Sar-nigun Na Ba-zahir Udas Udas Chale for youth and Student by Mohammad Naqi Rizvi Asr. Free Download Na Sar-nigun Na Ba-zahir Udas Udas Chale in PDF.