Na Tesha Humne Dekha Hai Na Ju-e-shir Dekhi Hai

na tesha hum ne dekha hai na ju-e-shir dekhi hai

magar han kuchh to jazb-e-ishq mein tasir dekhi hai

har ek shai mein nazar aane lagi hai aap ki surat

na jaane kis nazar se aap ki taswir dekhi hai

kahan se laega wo qais-o-laila ka bharam ai dil

ye mana tu ne husn-o-ishq ki taswir dekhi hai

palaT jaegi KHud zor-e-qayamat apna dikhla kar

agar barq-e-tapan ne hammat-e-tamir dekhi hai

hamari KHak-e-marqad har taraf gulshan mein bikhra do

ki hum ne dil-jalon ki KHak mein iksir dekhi hai

sitam-dida nigahen kah rahi hain wahima hoga

jo main ne ek shagufta KHwab ki tabir dekhi hai

na jaane aaj-kal kya ho gaya hai 'asr' ko hamdam

guzarish jo bhi hoti hai bahut dil-gir dekhi hai

(502) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Tesha Humne Dekha Hai Na Ju-e-shir Dekhi Hai In English By Famous Poet Mohammad Naqi Rizvi Asr. Na Tesha Humne Dekha Hai Na Ju-e-shir Dekhi Hai is written by Mohammad Naqi Rizvi Asr. Read famous Poem Na Tesha Humne Dekha Hai Na Ju-e-shir Dekhi Hai for youth and Student by Mohammad Naqi Rizvi Asr. Free Download Na Tesha Humne Dekha Hai Na Ju-e-shir Dekhi Hai in PDF.