KHayal Nutq Se Begana Ho To Kya Kahiye

KHayal nutq se begana ho to kya kahiye

lab-e-KHamosh hi afsana ho to kya kahiye

main jaanta hun ki tauhin-e-waza hai masti

yahi shariat-e-mai-KHana ho to kya kahiye

jamal-e-dost ko diwangi se kya matlab

dil apne aap hi diwana ho to kya kahiye

ho koi aur to us se gila munasib hai

magar jo dost hai begana ho to kya kahiye

baghair saghar-e-mai bhi hai kaif ka imkan

tera KHayal hi rindana ho to kya kahiye

main chahta hun kahun rang-e-ishq ki rudad

suluk husn-e-harifana ho to kya kahiye

aziz dil se ziyaada hai mujh ko ismat-e-raaz

har ek taraf yahi afsana ho to kya kahiye

mazaq-e-bazm ki islah mumkinat se hai

farogh-e-shama hi parwana ho to kya kahiye

shabab dawat-e-rangini-e-nazar hai 'ziya'

magar nazar hi faqihana ho to kya kahiye

(544) Peoples Rate This


Fatal error: Uncaught PDOException: SQLSTATE[42S22]: Column not found: 1054 Unknown column 'id' in 'ORDER BY' in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php:544 Stack trace: #0 /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php(544): PDOStatement->execute() #1 {main} thrown in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php on line 544