Koi Ye Iqbaal Se Ja Kar Zara Puchhe Ziya

koi ye 'iqbaal' se ja kar zara puchhe 'ziya'

muddaton se kyun teri bang-e-dara KHamosh hai

ek arsa ho gaya naghme nahin firdaus-e-gosh

tishna-e-saz-e-lab-e-'iqbaal' har ek gosh hai

bazm-e-hasti mein wahi ab tak hai paida intishaar

KHud hi muslim muztarib hai KHud musibat-kosh hai

is gulistan mein manazir ka wahi hai rang bhi

dekhne wala fareb-e-did mein madhosh hai

KHun shahidon ka rawan hai jang ke maidan mein

aur ghazi ki zaban par nara-e-pur-josh hai

kya qalam jaulaniyan apni dikha sakta nahin

wo qalam jis ki nawa bhi sur ki ham-dosh hai

kya tere jazbaat ke shoale bhaDak sakte nahin

kya tera wo gulKHan-e-pur-soz ab gul-posh hai

kya abhi baqi hai teri ruh mein agli taDap

aa main dekhun ab bhi kya sine mein tere josh hai

hashr hai aalam mein barpa aur tu hai mutmain

shor hai mahfil mein paida aur tu KHamosh hai

jag uTThi qaum tere naghma-e-bedar se

pahle wo behosh thi aur aaj to behosh hai

kund talwaren huin ahd-e-zira-poshi gaya

jag uTh ghaflat se waqt-e-KHud-faramoshi gaya

(581) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Ye Iqbaal Se Ja Kar Zara Puchhe Ziya In English By Famous Poet Mohammad Sadiq Zia. Koi Ye Iqbaal Se Ja Kar Zara Puchhe Ziya is written by Mohammad Sadiq Zia. Read famous Poem Koi Ye Iqbaal Se Ja Kar Zara Puchhe Ziya for youth and Student by Mohammad Sadiq Zia. Free Download Koi Ye Iqbaal Se Ja Kar Zara Puchhe Ziya in PDF.