Parda-e-saz Mein Bhi Soz Ka Hamil Hona

parda-e-saz mein bhi soz ka hamil hona

shama se sikh sharik-e-gham-e-mahfil hona

bazm-e-hasti pe hai mushkil mera mail hona

mujhe aata nahin sar-gashta baatil hona

naKHuda tu mujhe aaluda-e-tufan na samajh

mauj-e-dariya ko sikhata hun main sahil hona

sazgar aaj mujhe rah bhi hai rahbar bhi

meri qismat mein hai aasuda-e-manzil hona

rishta-e-hosh hai wabasta tujhi se ai dost

kabhi mumkin nahin tujh se mera ghafil hona

dil se hoshiyar ki hai dil hi tarah ain hayat

maut se bhi hai siwa be-KHabar-e-dil hona

sai ke baad na kar kawish-e-fikr-e-anjam

laanat-e-sai hai zahmat-kash-e-hasil hona

barish-e-abr se bijli ki lagi bujh na saki

ghair-mumkin hai ilaj-e-tapish-e-dil na hona

har qadam par rah-e-hasti mein nai Thokar hai

ai 'ziya' sahl nahin faez-e-manzil hona

(543) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Parda-e-saz Mein Bhi Soz Ka Hamil Hona In English By Famous Poet Mohammad Sadiq Zia. Parda-e-saz Mein Bhi Soz Ka Hamil Hona is written by Mohammad Sadiq Zia. Read famous Poem Parda-e-saz Mein Bhi Soz Ka Hamil Hona for youth and Student by Mohammad Sadiq Zia. Free Download Parda-e-saz Mein Bhi Soz Ka Hamil Hona in PDF.