Yaad Hai Aah Ka Wo Rang-e-nawa Ho Jaana

yaad hai aah ka wo rang-e-nawa ho jaana

yun fazaon mein simaTna ki ghaTa ho jaana

is qadar kaif ki madhosh-e-faza ho jaana

dekhna saz ko aur naghma-sara ho jaana

husn ki fitrat-e-masum thi paband-e-hijab

ishq se sikh liya jalwa-numa ho jaana

rasm-e-adab-o-mohabbat ka wo paband kahan

jis ki taqdir mein ho nazr-e-wafa ho jaana

husn ek ishq ki soi hui kaifiyyat hai

ishq hai husn ka bedar-e-wafa ho jaana

nai zanjir hai duniya ka har ek hangama

asl mein qaid hai zindan se riha ho jaana

mast-e-pindar sahi saz-e-KHudi kyun chheDun

be-KHudi ko meri aata hai KHuda ho jaana

yaad hai mujh ko wo gahwara-e-zulmat ki faza

itna tariki mein phir taki 'ziya' ho jaana

(539) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaad Hai Aah Ka Wo Rang-e-nawa Ho Jaana In English By Famous Poet Mohammad Sadiq Zia. Yaad Hai Aah Ka Wo Rang-e-nawa Ho Jaana is written by Mohammad Sadiq Zia. Read famous Poem Yaad Hai Aah Ka Wo Rang-e-nawa Ho Jaana for youth and Student by Mohammad Sadiq Zia. Free Download Yaad Hai Aah Ka Wo Rang-e-nawa Ho Jaana in PDF.