Billi Ki Shadi

billi ki is shadi ka

haal suno munne-bhayya

dulha aur baraati the

dulha ke sab sathi the

Dham Dham bajti thi Dholak

Dham Dham Dham Dhammak Dhammak

bille Dhol bajate the

chuhe gana gate the

dham dham gole chhuTte the

phul hawa mein luTte the

kaisa dhum-dhaDakka tha

kaisa dhakkam-dhakka tha

dulha hathi par chaDh kar

aaya dulhan ke ghar par

chand sa mukhDa dulhan ka

mathe par us ke Tika

khana KHub maze ka tha

kya batlaen kya kya tha

pakwan aur miThai thi

barfi dudh malai thi!

qabon mein tha gosht bhara

sab ne wo DaT kar khaya

aan nai thi shadi ki

shan nai thi shadi ki

(865) Peoples Rate This

Mohammad Shafiuddin Nyyar's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Billi Ki Shadi In English By Famous Poet Mohammad Shafiuddin Nyyar. Billi Ki Shadi is written by Mohammad Shafiuddin Nyyar. Read famous Poem Billi Ki Shadi for youth and Student by Mohammad Shafiuddin Nyyar. Free Download Billi Ki Shadi in PDF.