Fawwara

aao chalen fawwara dekhen

pani ka nazzara dekhen

dekh kar manzar pyara pyara

ji KHush ho jae hamara

fawwara hai hauz ke andar

jaise ho talab mein mandar

hauz ke chaaron jaanib gamle

KHub hain qarine se rakkhe

gamlon mein paudon ke patte

aaankhon ko hain tarawat dete

fawware ka ubalna dekho

phir pani ka uchhalna dekho

yun uDte hain pani ke qatre

jaise koi mahtabi chhuTe

paudon pe qatron ka bikharna

patton ka dhul dhul ke nikharna

kaam ye kab ho aur kisi se

bagh ne raunaq pai isi se

'nayyar' dekhne aao tum bhi

aao dil bahlao tum bhi

(1311) Peoples Rate This

Mohammad Shafiuddin Nyyar's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Fawwara In English By Famous Poet Mohammad Shafiuddin Nyyar. Fawwara is written by Mohammad Shafiuddin Nyyar. Read famous Poem Fawwara for youth and Student by Mohammad Shafiuddin Nyyar. Free Download Fawwara in PDF.