AaKHiri Hichki Pe Hai Nashshe Ki Saghar Jaga

aaKHiri hichki pe hai nashshe ki saghar jaga

pyas ko nind jab aai to samundar jaga

raat bhi din ki tarah meri pareshan guzri

main na jaga to mere KHwab ka paikar jaga

ek aahaT si achanak hui dil ko mahsus

kisi derina tamanna ka muqaddar jaga

subh hote hi KHuda jaane chala jae kidhar

raat-bhar shaKH pe is gham mein gul-e-tar jaga

thartharane lage kyun shish-mahal aap se aap

kya kisi TuTe makan ka koi patthar jaga

lauT aae wahi aawara-o-gum-gashta KHayal

aankh khulte hi nazaron ka samundar jaga

chhoD aaya tha jo main pichhle janam mein 'saib'

zehn mein aaj un armanon ka lashkar jaga

(554) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

AaKHiri Hichki Pe Hai Nashshe Ki Saghar Jaga In English By Famous Poet Mohammad Siddiq Saib Tonki. AaKHiri Hichki Pe Hai Nashshe Ki Saghar Jaga is written by Mohammad Siddiq Saib Tonki. Read famous Poem AaKHiri Hichki Pe Hai Nashshe Ki Saghar Jaga for youth and Student by Mohammad Siddiq Saib Tonki. Free Download AaKHiri Hichki Pe Hai Nashshe Ki Saghar Jaga in PDF.