Faza KHamosh Zamin Dang Aasman Chup Hai

faza KHamosh zamin dang aasman chup hai

zamana chiKH raha hai magar jahan chup hai

TaTolta hun dar-e-taq ajnabi ki tarah

mere makan ke andheron mein shama-dan chup hai

usi se KHatra-e-ifsha-e-raaz hai darpesh

wo aadmi jo hamare hi darmiyan chup hai

bahut sambhal ke guzar zindagi ke lamhon se

na jaane gir paDe kab ret ka makan chup hai

nigah mein koi manzil na koi samt-e-safar

hawa KHamosh hai kashti ka baadban chup hai

tamasha dekh rahe hain tere dayar ke log

main KHud hun mehr-ba-lab meri dastan chup hai

ye kaisa ulTa zamana hai in dinon 'saib'

ki aasman ke zamin sar hai aasman chup hai

(594) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Faza KHamosh Zamin Dang Aasman Chup Hai In English By Famous Poet Mohammad Siddiq Saib Tonki. Faza KHamosh Zamin Dang Aasman Chup Hai is written by Mohammad Siddiq Saib Tonki. Read famous Poem Faza KHamosh Zamin Dang Aasman Chup Hai for youth and Student by Mohammad Siddiq Saib Tonki. Free Download Faza KHamosh Zamin Dang Aasman Chup Hai in PDF.