Hui Hai Umr Ki KHurshid Se Nazar Na Mili

hui hai umr ki KHurshid se nazar na mili

hamare hijr ki shab ko kahin sahar na mili

mili to un se magar fursat-e-nazar na mili

phir us ke baad KHud apni hamein KHabar na mili

tere karam se zamane mein mujh ko kya na mila

nahin mili to bas ek teri rahguzar na mili

khula ye raaz ki na-paedar hai duniya

yahan kisi se koi baat mo'atabar na mili

asir-e-halqa-e-dam-e-KHayal hai ab tak

wo bad-nasib jise tab-e-baal-o-par na mili

KHuda ki zat se kuchh munharif rahe wo log

ki jin ko chashm mili chahsm-e-haq-nigar na mili

kahan kahan tere jalwe na aashkar hue

kahan kahan tere jalwon se ye nazar na mili

har ek raat ki hoti to hai sahar lekin

hamari raat ko arsa hua sahar na mili

KHuda ki shan hai 'saib' sab ek hain lekin

kisi bashar se kahin surat-e-bashar na mili

(507) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hui Hai Umr Ki KHurshid Se Nazar Na Mili In English By Famous Poet Mohammad Siddiq Saib Tonki. Hui Hai Umr Ki KHurshid Se Nazar Na Mili is written by Mohammad Siddiq Saib Tonki. Read famous Poem Hui Hai Umr Ki KHurshid Se Nazar Na Mili for youth and Student by Mohammad Siddiq Saib Tonki. Free Download Hui Hai Umr Ki KHurshid Se Nazar Na Mili in PDF.