Jaane Kya Chehre Ki Ab Haalat Hui

jaane kya chehre ki ab haalat hui

aaina dekhe hue muddat hui

aansuon tak dil ne pahuncha di KHabar

raazdari bais-e-shohrat hui

kar liye raushan wahin dil ke charagh

rah mein hail jahan zulmat hui

jam ka kya zikr TuTe saz tak

ek faqih-e-shahr se hujjat hui

yaad ne har zaKHm taza kar diya

KHud KHalish apni jagah lazzat hui

hum rahe bedar un ki yaad mein

un ko apne KHwab se nisbat hui

puchhta tha kaun tere shahr mein

panw ki zanjir se izzat hui

dekh kar un ki nawazish be-karan

aaj 'saib' arz ki himmat hui

(451) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaane Kya Chehre Ki Ab Haalat Hui In English By Famous Poet Mohammad Siddiq Saib Tonki. Jaane Kya Chehre Ki Ab Haalat Hui is written by Mohammad Siddiq Saib Tonki. Read famous Poem Jaane Kya Chehre Ki Ab Haalat Hui for youth and Student by Mohammad Siddiq Saib Tonki. Free Download Jaane Kya Chehre Ki Ab Haalat Hui in PDF.