Nigah-e-ahl-e-jahan Mein Shikasta-haal Hun Main

nigah-e-ahl-e-jahan mein shikasta-haal hun main

jawab jis ka nahin hai wo ek sawal hun main

buland hun to sar-e-arsh-e-zul-jalal hun main

jo past hun to phir ek farsh-e-paemal hun main

bhula sakenge abad tak na ahl-e-dard mujhe

jahan-e-ishq-o-mohabbat mein la-zawal hun main

mera maqam har ek dil mein hai judagana

agar yaqin nahin hun to ehtimal hun main

uruj-o-past mera dars hai jahan ke liye

bana hun badr kabhi to kabhi hilal hun main

chaman mein hae wo ek barg-e-zard ka kahna

bahaar-e-haal mein yaad-e-guzishta-sal hun main

majal-e-did hai 'saib' na tab-e-nutq mujhe

kisi ke samne taswir ki misal hun main

(576) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nigah-e-ahl-e-jahan Mein Shikasta-haal Hun Main In English By Famous Poet Mohammad Siddiq Saib Tonki. Nigah-e-ahl-e-jahan Mein Shikasta-haal Hun Main is written by Mohammad Siddiq Saib Tonki. Read famous Poem Nigah-e-ahl-e-jahan Mein Shikasta-haal Hun Main for youth and Student by Mohammad Siddiq Saib Tonki. Free Download Nigah-e-ahl-e-jahan Mein Shikasta-haal Hun Main in PDF.