Shuur-e-hosh Se Begana Kah Diya Hota

shuur-e-hosh se begana kah diya hota

zara si baat thi diwana kah diya hota

hui ye KHair na dekha meri taraf warna

nigah-e-shauq ne afsana kah diya hota

agar na hotin in aankhon ki mastiyan maKHsus

to aam logon ne mai-KHana kah diya hota

kaha har ek ne mujh ko tumhaara diwana

kabhi to tum ne bhi diwana kah diya hota

mere sabab se zamane ka kyun liya ilzam

hai aadmi koi diwana kah diya hota

ye waqia hai agar shahr mein na hote tum

to main ne shahr ko virana kah diya hota

na baDhti baat mohabbat mein is qadar 'saib'

jo us ne apnon mein begana kah diya hota

(482) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shuur-e-hosh Se Begana Kah Diya Hota In English By Famous Poet Mohammad Siddiq Saib Tonki. Shuur-e-hosh Se Begana Kah Diya Hota is written by Mohammad Siddiq Saib Tonki. Read famous Poem Shuur-e-hosh Se Begana Kah Diya Hota for youth and Student by Mohammad Siddiq Saib Tonki. Free Download Shuur-e-hosh Se Begana Kah Diya Hota in PDF.