Tu Nahin To Zindagi Aazar Hai Tere Baghair

tu nahin to zindagi aazar hai tere baghair

zindagi zinda-dili par bar hai tere baghair

zindagani se kise inkar hai tere baghair

zindagani hai magar bekar hai tere baghair

aa ki paiham ab ye haal-e-zar hai tere baghair

har-nafas ek tez-rau talwar hai tere baghair

nang ho kyun kar na mere waste duniya meri

zindagi meri mujhe KHud aar hai tere baghair

aa tujhe meri qasam mushkil meri aasan kar

zist ka har marhala dushwar hai tere baghair

puchhte hain log mujh se meri KHamoshi ka haal

be-zabani mein meri guftar hai tere baghair

lamha lamha hai kisi ka be tere suhan-e-ruh

lamhe lamhe se koi bezar hai tere baghair

wasta tujh ko masihai ka teri jald aa

naza ke aalam mein ek bimar hai tere baghair

fasl-e-gul sab ki nazar mein hai magar mere liye

ek KHizan mein aalam-e-gulzar hai tere baghair

ye baja har gul hai wajh-e-zinat-e-gulshan magar

meri duniya-e-nazar mein KHar hai tere baghair

nur se mamur hai har gul ba-sahn-e-bostan

qatra-e-shabnam nazar mein tar hai tere baghair

ye bahaaran ye shabab sabza-e-nau-ras na puchh

bagh kya hai madin-e-zangar hai tere baghair

is faza-e-abr mein ghusl-e-hawai ki qasam

mauja-e-baad-e-saba aazar hai tere baghair

aa ki ye kali ghaTa ab tere gesu ki qasam

ek bala si bar-sar-e-kohsar hai tere baghair

(475) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tu Nahin To Zindagi Aazar Hai Tere Baghair In English By Famous Poet Mohammad Siddiq Saib Tonki. Tu Nahin To Zindagi Aazar Hai Tere Baghair is written by Mohammad Siddiq Saib Tonki. Read famous Poem Tu Nahin To Zindagi Aazar Hai Tere Baghair for youth and Student by Mohammad Siddiq Saib Tonki. Free Download Tu Nahin To Zindagi Aazar Hai Tere Baghair in PDF.