Husn-o-ulfat Sath Hain Aaghaz Se Anjam Tak

husn-o-ulfat sath hain aaghaz se anjam tak

mera afsana suna jaega tere nam tak

zindagi ki talKHiyan hain gardish-e-ayyam tak

lala-o-gul ka tabassum hai chaman mein sham tak

kya KHabar parda-ba-parda kitne jalwe hain nihan

chashm-e-zahir-bin ne dekha un ko husn-e-am tak

jin ke paimane bhare hain un pe kya tera karam

lutf to saqi hai jab bhar jaen KHali jam tak

jis ne jine ka irada kar liya wo ji gaya

us se katra kar chali hai gardish-e-ayyam tak

ban gae shaiKH-o-barahman malik-e-dair-o-haram

faiz-e-mai-KHana magar jari hai KHas-o-am tak

sans lena to nahin koi dalil-e-zindagi

zindagi kaisi nahin ab zindagi ka nam tak

husn ki pahli nazar hi dil ki duniya kho gai

luT gae aaghaz mein dekha nahin anjam tak

ab to saqi azmat-e-mai-KHana tere hath hai

gardish-e-ayyam aa pahunchi hai daur-e-jam tak

mai-kada ka haal kuchh ho chashm-e-saqi kuchh kahe

hai surahi tak nazar 'arif' kisi ki jam tak

(575) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Husn-o-ulfat Sath Hain Aaghaz Se Anjam Tak In English By Famous Poet Mohammad Usmaan Arif. Husn-o-ulfat Sath Hain Aaghaz Se Anjam Tak is written by Mohammad Usmaan Arif. Read famous Poem Husn-o-ulfat Sath Hain Aaghaz Se Anjam Tak for youth and Student by Mohammad Usmaan Arif. Free Download Husn-o-ulfat Sath Hain Aaghaz Se Anjam Tak in PDF.