Kamal-e-ishq Mein Soz-e-nihan Baqi Nahin Rahta

kamal-e-ishq mein soz-e-nihan baqi nahin rahta

bhaDak jate hain jab shoale dhuan baqi nahin rahta

jabin to phir jabin hai aastan baqi nahin rahta

jahan tum ho kisi ka bhi nishan baqi nahin rahta

tumhein dekhun to kya dekhun tumhein samjhun ko kya samjhun

mohabbat mein to apna bhi guman baqi nahin rahta

unhin se puchhiye ye un ke dil par kya guzarti hai

bahaaron mein bhi jin ka aashiyan baqi nahin rahta

kabhi yaad un ki aai hai kabhi wo KHud bhi aate hain

mohabbat mein hijab-e-darmiyan baqi nahin rahta

mohabbat ras aati hai to chha jati hai duniya par

bigaDti hai to phir nam-o-nishan baqi nahin rahta

KHizan mein lala-o-gul ka bharam bhi khul hi jata hai

hamesha to fareb-e-gulistan baqi nahin rahta

usi manzil mein aate hain kahin dair-o-haram 'arif'

harim-e-dil se bach kar aastan baqi nahin rahta

(462) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kamal-e-ishq Mein Soz-e-nihan Baqi Nahin Rahta In English By Famous Poet Mohammad Usmaan Arif. Kamal-e-ishq Mein Soz-e-nihan Baqi Nahin Rahta is written by Mohammad Usmaan Arif. Read famous Poem Kamal-e-ishq Mein Soz-e-nihan Baqi Nahin Rahta for youth and Student by Mohammad Usmaan Arif. Free Download Kamal-e-ishq Mein Soz-e-nihan Baqi Nahin Rahta in PDF.