KanTon Pe Chal Raha Hun Mohabbat Ki Rah Mein

kanTon pe chal raha hun mohabbat ki rah mein

kis husn ki bahaar hai meri nigah mein

duniya gunahgar hai teri nigah mein

zahid hai tera zoam bhi daKHil gunah mein

zarron mein kya nahin hai jo hai mehr-o-mah mein

pasti nigah mein hai bulandi nigah mein

diwangan-e-ishq ko duniya ki kya KHabar

duniya ko chhoD aae kahin gard-e-rah mein

har manzil-e-hayat se guzra chala gaya

har marhale pe aap the meri nigah mein

kaunain mein samae na 'arif' wo husn jab

kis ka hai zarf rakh sake us ko nigah mein

(580) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KanTon Pe Chal Raha Hun Mohabbat Ki Rah Mein In English By Famous Poet Mohammad Usmaan Arif. KanTon Pe Chal Raha Hun Mohabbat Ki Rah Mein is written by Mohammad Usmaan Arif. Read famous Poem KanTon Pe Chal Raha Hun Mohabbat Ki Rah Mein for youth and Student by Mohammad Usmaan Arif. Free Download KanTon Pe Chal Raha Hun Mohabbat Ki Rah Mein in PDF.