Phulon Ki Chand Taron Ki Mahfil Fareb Hai

phulon ki chand taron ki mahfil fareb hai

rangin haqiqaton mein bhi shamil fareb hai

pani ke madd-o-jazr ko samjha hai zindagi

maujen bhi hain fareb jo sahil fareb hai

rangini-e-hayat ka aalam na puchhiye

har aarzu fareb hai har dil fareb hai

mahsus dil mein dard sa hone laga hai kyun

kya pyar ki nazar mein bhi shamil fareb hai

bas ruk gaya to ruk gaya ulfat ki rah mein

manzil na kar qubul ki manzil fareb hai

un ki nigah-e-lutf hai 'arif' ki zindagi

kya gham agar hayat mein shamil fareb hai

(918) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phulon Ki Chand Taron Ki Mahfil Fareb Hai In English By Famous Poet Mohammad Usmaan Arif. Phulon Ki Chand Taron Ki Mahfil Fareb Hai is written by Mohammad Usmaan Arif. Read famous Poem Phulon Ki Chand Taron Ki Mahfil Fareb Hai for youth and Student by Mohammad Usmaan Arif. Free Download Phulon Ki Chand Taron Ki Mahfil Fareb Hai in PDF.