Rah Gai Wo Nigah-e-naz Qalb O Jigar Mein BaiTh Kar

rah gai wo nigah-e-naz qalb o jigar mein baiTh kar

dil mein latif si KHalish aankh hai aansuon se tar

raat ki nind uD gai din ka sukun luT gaya

teri nigah-e-naz ne kar diya dil pe kya asar

sun na sake usi ko wo kah na saka usi ko main

aish ki dastan mein jo haal tha gham ka muKHtasar

shaKH se gul jo gir paDa dil se laga ke rakh liya

daur-e-KHizan bhi dekh lun phul chune hain umr bhar

koi agar nihaal hai koi KHarab-haal hai

zarf ke sath sath hai un ki nigah ka asar

rang-e-chaman ko dekh kar 'arif'-e-KHasta-dil ye kya

phulon pe hai kabhi nazar kanTon pe hai kabhi nazar

(451) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rah Gai Wo Nigah-e-naz Qalb O Jigar Mein BaiTh Kar In English By Famous Poet Mohammad Usmaan Arif. Rah Gai Wo Nigah-e-naz Qalb O Jigar Mein BaiTh Kar is written by Mohammad Usmaan Arif. Read famous Poem Rah Gai Wo Nigah-e-naz Qalb O Jigar Mein BaiTh Kar for youth and Student by Mohammad Usmaan Arif. Free Download Rah Gai Wo Nigah-e-naz Qalb O Jigar Mein BaiTh Kar in PDF.