Baqi Hai Tab-e-zabt Na Taqat Fughan Ki Hai

baqi hai tab-e-zabt na taqat fughan ki hai

haalat bahut saqim dil-e-na-tawan ki hai

aankhon mein josh hai kabhi tufan nuh ka

dil mein mere taDap kabhi barq-e-tapan ki hai

ai aah-e-na-rasa tere nale hain be-asar

behtar yahi hai baat rahe jo jahan ki hai

hota hai josh gar ye jo ab baat baat par

dil mein mere ye choT ilahi kahan ki hai

ai dil tujhe natija-e-ulfat hai KHub yaad

aur phir bhi aarzu tujhe ku-e-butan ki hai

jis ko samajh rahe hain wo baadal ki ek garaj

fariyaad dardnak kisi KHasta-jaan ki hai

bulbul hai KHush ki bagh mein hai KHak aashiyan

ye kaun jaanta hai ki miTTi kahan ki hai

sone diya na shor-e-qayamat ne qabr mein

samjha tha main ki jae ye amn-o-aman ki hai

rang-e-shafaq se sham ko milta hai ye pata

ab aasman pe gard mere karwan ki hai

mansur ki fana hai baqa-e-sada-e-haq

aawaz wadiyon mein abhi tak azan ki hai

samjha raha hun dil ko nahin phir bhi e'timad

wo baat kah raha hun jo un ki zaban ki hai

hai dil-gudaz yun bhi meri dastan-e-gham

tasir us pe kuchh mere tarz-e-bayan ki hai

'hafiz' ye kaenat na ho jae jal ke KHak

baDhti hui tapish mere soz-e-nihan ki hai

(543) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baqi Hai Tab-e-zabt Na Taqat Fughan Ki Hai In English By Famous Poet Mohammad Wilayatullah. Baqi Hai Tab-e-zabt Na Taqat Fughan Ki Hai is written by Mohammad Wilayatullah. Read famous Poem Baqi Hai Tab-e-zabt Na Taqat Fughan Ki Hai for youth and Student by Mohammad Wilayatullah. Free Download Baqi Hai Tab-e-zabt Na Taqat Fughan Ki Hai in PDF.