Darta Hun Arz-e-haal Se Dhoka Na Ho Kahin

Darta hun arz-e-haal se dhoka na ho kahin

wo ruTh jaen aur bhi aisa na ho kahin

kab tak talash dil ki karun aur kahan kahan

zulfon mein dekh lijiye uljha na ho kahin

qasid mere makan ki taraf se gaya jo aaj

hota hai shak mujhe ki bulaya na ho kahin

ho jae jal ke KHak na KHud ye mera wajud

Darta hun aah ka asar ulTa na ho kahin

dil le ke apne pas bulaen wo kis liye

ye bhi to sochte hain taqaza na ho kahin

ai shaiKH teri baat ka kya e'tibar ho

parde mein is aba ke bhi duniya na ho kahin

muddat hui ki dil ko qarar-o-sukun nahin

phirta hai jaise is ka Thikana na ho kahin

un ka mariz-e-gham hai kai din se jaan-ba-lab

wo dil mein sochte hain bahana na ho kahin

ku-e-butan mein tera guzar hai jo bar bar

ai dil tu aisi baaton se ruswa na ho kahin

'hafiz' ki chashm-e-tar pe nazar chahiye zarur

ye tar-e-ashk dekhiye dariya na ho kahin

(554) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Darta Hun Arz-e-haal Se Dhoka Na Ho Kahin In English By Famous Poet Mohammad Wilayatullah. Darta Hun Arz-e-haal Se Dhoka Na Ho Kahin is written by Mohammad Wilayatullah. Read famous Poem Darta Hun Arz-e-haal Se Dhoka Na Ho Kahin for youth and Student by Mohammad Wilayatullah. Free Download Darta Hun Arz-e-haal Se Dhoka Na Ho Kahin in PDF.