Dil Mein Mere Har GhaDi Dariya-e-gham Labrez Hai

dil mein mere har ghaDi dariya-e-gham labrez hai

baat jo munh se nikalti hai wo dard-amez hai

zabt karta hun to baDhta hai mera soz-e-darun

ashk se bhi apne Darta hun ki tufan-KHez hai

pahle in aankhon se sail-e-ashk hota tha rawan

ab wufur-e-gham se meri chashm-e-tar KHun-rez hai

aarzu tak ho gai dil ke liye bar-e-garan

na-tawani ke sabab arman bhi hasrat-KHez hai

hai abas saman-e-farhat gham-zada dil ke liye

mere lab ko KHud tabassum se baDa parhez hai

din gae tafrih ke jab se hua dil gham-kada

kya gharaz hum ko agar duniya tarab-angez hai

is zamin par kar raha hai tai masafat har-nafas

wo mubarak hai qadam jis ka safar mein tez hai

qalb-e-'hafiz' ta-dam-e-aKHir na paega sukun

jumla-saman-e-tarab-angez wahshat-KHez hai

(504) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Mein Mere Har GhaDi Dariya-e-gham Labrez Hai In English By Famous Poet Mohammad Wilayatullah. Dil Mein Mere Har GhaDi Dariya-e-gham Labrez Hai is written by Mohammad Wilayatullah. Read famous Poem Dil Mein Mere Har GhaDi Dariya-e-gham Labrez Hai for youth and Student by Mohammad Wilayatullah. Free Download Dil Mein Mere Har GhaDi Dariya-e-gham Labrez Hai in PDF.