Hamari Aaj-kal Himmat Faqat Aah-o-fughan Tak Hai

hamari aaj-kal himmat faqat aah-o-fughan tak hai

dil-e-betab kakul josh bas is ke bayan tak hai

qadam rakkha jo maidan-e-amal mein Thokaren khain

hamare hauslon ki shan bas dil se zaban tak hai

ilahi phir na hoga abr-barq-o-rad gulshan mein

musibat is jagah kya sirf mere aashiyan tak hai

kabhi ek din KHudara sarguzisht-e-ashiqan sun lo

ki un ka nam baqi ab faqat is dastan tak hai

tajjub hai nazar aata nahin tujh ko sitam apna

tere dar par abhi baqi mere KHun ka nishan tak hai

jafa aur zulm ki fariyaad le kar hum kahan jaen

rasai ghair mumkin tere sang-e-astan tak hai

tera zulm-o-sitam tujh ko nahin malum ai zalim

teri bedad ka ek shor saqf-e-asman tak hai

chalenge kaam is duniya ke mere baad bhi lekin

teri mahfil ki ye raunaq faqat mujh KHasta-jaan tak hai

KHizan jaegi jis din phir wahi josh-e-junun hoga

KHamoshi bagh-e-alam mein mere KHwab-e-giran tak hai

adad se kah do jab chahe hamara imtihan kar le

hamein bhi dekhna hai hausla us ka kahan tak hai

hamari haq-parasti ki misal aisi hai ai 'hafiz'

rahega zikr baqi ye jahan jab tak jahan tak hai

(526) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamari Aaj-kal Himmat Faqat Aah-o-fughan Tak Hai In English By Famous Poet Mohammad Wilayatullah. Hamari Aaj-kal Himmat Faqat Aah-o-fughan Tak Hai is written by Mohammad Wilayatullah. Read famous Poem Hamari Aaj-kal Himmat Faqat Aah-o-fughan Tak Hai for youth and Student by Mohammad Wilayatullah. Free Download Hamari Aaj-kal Himmat Faqat Aah-o-fughan Tak Hai in PDF.