Har-waqt Ulajhta Hai Ye Dil Zulf-e-dota Mein

har-waqt ulajhta hai ye dil zulf-e-dota mein

samjhata hun kam-baKHt na paD ja ke bala mein

dekho na kabhi KHu-e-sitam apni badalna

milta hai maza hum ko bahut jaur-o-jafa mein

kis lutf se ayyam guzarte hain hamare

din nala-o-fariyaad mein shab aah-o-baka mein

miTTi hui barbaad tere ishq mein aisi

kuchh KHak ke zarre nazar aate hain hawa mein

kyun chal diye mai-KHane se ai shaiKH Thaharna

poshida nazar aata hai kuchh aaj aba mein

kahti hai ye tauba ki gunahgar main behtar

ai dil kabhi bhule se bhi paDna na riya mein

kar dun shab-e-furqat ka bayan hashr mein lekin

Darta hun tawalat na paDe roz-e-jaza mein

marna jise kahte hain wo hai zist ka aaghaz

milti hai baqa sab ko isi rah-e-fana mein

kis ke liye allah ne jannat ko banaya

bande to yahan rahte hain har waqt KHata mein

maqbul hui hashr mein gar meri KHajalat

mil jaegi jannat bhi gunahon ki saza mein

waiz kahe kuchh bhi hamein malum hai yarab

sau KHuld hain poshida teri ek raza mein

hil jati hai duniya meri fariyaad se 'hafiz'

tasir ghazab ki hai meri aah-e-rasa mein

(498) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har-waqt Ulajhta Hai Ye Dil Zulf-e-dota Mein In English By Famous Poet Mohammad Wilayatullah. Har-waqt Ulajhta Hai Ye Dil Zulf-e-dota Mein is written by Mohammad Wilayatullah. Read famous Poem Har-waqt Ulajhta Hai Ye Dil Zulf-e-dota Mein for youth and Student by Mohammad Wilayatullah. Free Download Har-waqt Ulajhta Hai Ye Dil Zulf-e-dota Mein in PDF.