Makan Mera Azal Se DhunDhti Phirti Thi Virani

makan mera azal se DhunDhti phirti thi virani

nihayat shauq se ki dil ne ranj-o-gham ki mehmani

qarar us ko nahin milta singhaar us ka nahin banta

mere dil se tere gesu ne sikhi hai pareshani

KHata-e-fash hai hum ne jafa ko kyun jafa samjha

qayamat tak na jaegi hamari ye pashemani

bataen kya tumhaari ek nahin se hum pe kya guzri

umiden thin hazaron hae jin par phir gaya pani

adu ke qaul ki tum ne hamesha pasdari ki

hamari baat lekin aaj tak ek bhi nahin mani

nazar aata hai aasan sab jise dushwar kahte hain

tariq-e-ishq mein har ek dushwari hai aasani

maza deta nahin 'hafiz' ruKH-o-gesu ka nazzara

misal-e-aina jab tak na ho aankhon mein hairani

(471) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Makan Mera Azal Se DhunDhti Phirti Thi Virani In English By Famous Poet Mohammad Wilayatullah. Makan Mera Azal Se DhunDhti Phirti Thi Virani is written by Mohammad Wilayatullah. Read famous Poem Makan Mera Azal Se DhunDhti Phirti Thi Virani for youth and Student by Mohammad Wilayatullah. Free Download Makan Mera Azal Se DhunDhti Phirti Thi Virani in PDF.