Mere Sine Se Ranj-o-gham Ki Tughyani Nahin Jati

mere sine se ranj-o-gham ki tughyani nahin jati

ilahi kya karun dil ki pareshani nahin jati

mujhe ghairon ke jhuTe dawa-e-ulfat se kya matlab

ghazab ye hai meri haq baat bhi mani nahin jati

kiya us chashm-e-ishq-afroz ne barbaad duniya mein

magar phir bhi nazar ki fitna-samani nahin jati

tahayyur hai mohabbat ke nataej tu ne dekhe hain

magar afsos ai dil teri nadani nahin jati

paDe hain pech sumbul mein yahan aaina hairan hai

tajjub hai ki gesu ki pareshani nahin jati

jahan mein har taraf saman-e-ishrat bhi muhayya hai

sabab kya hai meri gham ki farawani nahin jati

dilaya yaad us paiman-shikan ko wada kyun main ne

pareshan hun kisi surat pashemani nahin jati

hazaron namwar aa kar base shahr-e-KHamoshan mein

magar is sar-zamin ki phir bhi virani nahin jati

pae daryaft asrar-e-haqiqat sab hain sargardan

falak ke par lekin aql-e-insani nahin jati

natija nek hai isar ka duniya-o-uqba mein

haqiqat mein kabhi be-kar qurbani nahin jati

asar kya KHak ho meri fughan ka us pe ai 'hafiz'

meri aawaz tak us ghar mein pahchani nahin jati

(729) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Sine Se Ranj-o-gham Ki Tughyani Nahin Jati In English By Famous Poet Mohammad Wilayatullah. Mere Sine Se Ranj-o-gham Ki Tughyani Nahin Jati is written by Mohammad Wilayatullah. Read famous Poem Mere Sine Se Ranj-o-gham Ki Tughyani Nahin Jati for youth and Student by Mohammad Wilayatullah. Free Download Mere Sine Se Ranj-o-gham Ki Tughyani Nahin Jati in PDF.