Raaz Apna Jo Kah Diya Tu Ne

raaz apna jo kah diya tu ne

dil-e-nadan ye kya kiya tu ne

dard-e-dil ki na ki dawa tu ne

na suni meri iltija tu ne

saf hai kis qadar ye dad-e-dast

dil diya main ne aur liya tu ne

nazr main ne kiya jo apna dil

is ke badle mein kya diya tu ne

ho ewaz ya na ho karam hai tera

dil-e-muztar to le liya tu ne

rah par muD ke kyun mujhe dekha

ki mohabbat ki ibtida tu ne

wada kar ke jo le liya wapas

ai sitamgar ye kyun kiya tu ne

nahin pahlu mein jab qayam-o-qarar

ai KHuda kyun ye dil diya tu ne

dil lagaya tha ek se 'hafiz'

ai KHuda kyun kiya juda tu ne

mujh ko paida kiya KHuda tu ne

aur sab kuchh ata kiya tu ne

teri rahmat ka kuchh hisab nahin

di hai har dard ki dawa tu ne

kar ke tauba sambhal gaya aasi

phir bhi us ko bacha liya tu ne

di hain duniya mein neamaten kya kya

apne bandon ko ai KHuda tu ne

pahle batla diya gunah hai kya

afw ki us ki phir KHata tu ne

dur phenka na baad-e-murdan bhi

pas apne bula liya tu ne

rahm tera ghazab pe ghaalib hai

kyun banai saza jaza tu ne

naz us ne uThae ai 'hafiz'

rah ke duniya mein kya kiya tu ne

(700) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raaz Apna Jo Kah Diya Tu Ne In English By Famous Poet Mohammad Wilayatullah. Raaz Apna Jo Kah Diya Tu Ne is written by Mohammad Wilayatullah. Read famous Poem Raaz Apna Jo Kah Diya Tu Ne for youth and Student by Mohammad Wilayatullah. Free Download Raaz Apna Jo Kah Diya Tu Ne in PDF.