Rind Betab Hain Ghanghor GhaTa Chhai Hai

rind betab hain ghanghor ghaTa chhai hai

mai-kade gunj rahe hain wo bahaar aai hai

bazm-e-aghyar mein us ne mujhe daryaft kiya

baad muddat ke use yaad meri aai hai

kaT hi jati hain kisi tarah hamari raaten

gham salamat rahe wo monis-e-tanhai hai

qatl karne ko mere aate hain wo tegh-ba-dast

main samajhta hun mere haq mein masihai hai

un ko ye zid hai na dekhenge kabhi meri taraf

main ne bhi dar se na uThne ki qasam khai hai

hai ye rindon ke taaqub mein koi raaz amiq

warna auron se bhi waiz ki shanasai hai

puchhne aae hain wo haal mera ai 'hafiz'

zoaf se salb yahan taqat-e-goyai hai

(797) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rind Betab Hain Ghanghor GhaTa Chhai Hai In English By Famous Poet Mohammad Wilayatullah. Rind Betab Hain Ghanghor GhaTa Chhai Hai is written by Mohammad Wilayatullah. Read famous Poem Rind Betab Hain Ghanghor GhaTa Chhai Hai for youth and Student by Mohammad Wilayatullah. Free Download Rind Betab Hain Ghanghor GhaTa Chhai Hai in PDF.