Apne Dushman Hazar Nikle Hain

apne dushman hazar nikle hain

han magar ba-waqar nikle hain

hum bhi kya baada-KHwar ho jaen

shaiKH to baada-KHwar nikle hain

ghar ka rasta na mil saka hum ko

ghar se jo ek bar nikle hain

chand bin chandni kahan hogi

go sitare hazar nikle hain

KHun-e-dil de ke jin ko sincha tha

naKHl sab KHar-dar nikle hain

band kuche ki dusri jaanib

raste be-shumar nikle hain

baad ek umr ki KHamoshi ke

misre sab zor-dar nikle hain

hum to samjhe the mast hain 'asi'

aap bhi hoshiyar nikle hain

koi kahta tha KHush hain 'asi-ji'

wo magar dil-figar nikle hain

(751) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne Dushman Hazar Nikle Hain In English By Famous Poet Mohammad Yaqoob Aasi. Apne Dushman Hazar Nikle Hain is written by Mohammad Yaqoob Aasi. Read famous Poem Apne Dushman Hazar Nikle Hain for youth and Student by Mohammad Yaqoob Aasi. Free Download Apne Dushman Hazar Nikle Hain in PDF.