Dil Mein Jo Tasawwur Hai Teri Zulf-e-rasa Ka

dil mein jo tasawwur hai teri zulf-e-rasa ka

samjha hun ise main to amal radd-e-bala ka

duniya mein koi mujh sa gunahgar na hoga

main KHak ka putla nahin putla hun KHata ka

jannat ki hai ummid to dozaKH ka hai khaTka

dushwar hai maidan bahut bim-o-raja ka

huran-e-jinan ne hamein aankhon pe biThaya

dekhe to koi martaba tere shohda ka

saghar ki tamanna hai na shishe ki zarurat

mastana hun teri nigah-e-hosh-ruba ka

anwar-e-mohammad ke hain anwar-e-ilahi

didar mohammad ka hai didar KHuda ka

ek raaz hai ye bhi ki teri tegh ka pani

chashma hai shahidon ke liye aab-e-baqa ka

allah ke mahbub ki nazron mein hai eajaz

sine mein jo allah ka ghar tha use taka

be-ai marun tum pe ki marna hai muqaddar

kyun muft mein ehsan uThaun main qaza ka

marqad mein bhi ummat ko na bhule shah-e-wala

allah-ghani dhyan hai kitna ghoraba ka

rauze pe kya arz mera haal-e-pareshan

ehsan na bhulunga kabhi baad-e-saba ka

jis KHak pe aashiq ne kiye sajdon pe sajde

KHaka tha wahan aap ke naqsh-e-kaf-e-pa ka

arbab-e-karam phulte-phalte hain hamesha

milta hai samar un ko gharibon ki dua ka

'rasiKH' ki zaban par ho dam-e-marg ye misra

mahbub ki ummat mein hun banda hun KHuda ka

(606) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Mein Jo Tasawwur Hai Teri Zulf-e-rasa Ka In English By Famous Poet Mohammad Yusuf Rasikh. Dil Mein Jo Tasawwur Hai Teri Zulf-e-rasa Ka is written by Mohammad Yusuf Rasikh. Read famous Poem Dil Mein Jo Tasawwur Hai Teri Zulf-e-rasa Ka for youth and Student by Mohammad Yusuf Rasikh. Free Download Dil Mein Jo Tasawwur Hai Teri Zulf-e-rasa Ka in PDF.