Na Aati Thi Kahin Dil Mein Nazar Aag

na aati thi kahin dil mein nazar aag

magar phir bhi jali hai raat bhar aag

khula hai dil mein ek daghon ka gulshan

ugalta hai mera zaKHm-e-jigar aag

bulaya tha mujhe bazm-e-tarab mein

laga di dil mein kyun munh pher kar aag

dikhaya tur par musa ko jalwa

kahan ja kar bani hai rahbar aag

ye girya aur phir aah-e-sharar-bar

taraqqi par idhar pani udhar aag

wo mera dil jalana khel samjhe

karegi rafta rafta ye asar aag

shab-e-gham is qadar roya hai koi

ki DhunDe bhi nahin milti sahar aag

wo dil par hath rakh kar gae hain

ki ab jalne na pae raat bhar aag

zamane ko jalata hai wo zalim

na ban jaen kahin shams-o-qamar aag

ye kis ki sard-mehri ka asar tha

na dekhi tur par bhi jalwa-gar aag

karun kya aah-e-sozan hijr ki shab

farishton ke jala deti hai par aag

ye dushman ka makan apna hi ghar hai

laga den aap be-KHauf-o-KHatar aag

dil-e-sozan ye kah de chashm-e-tar se

KHuda ke waste ThanDi na kar aag

hasad ki aag mein jalta hai ab tak

barasti hai adu ki qabr par aag

wuzu ho jaenge zahid ke ThanDe

bujha degi kisi ki chashm-e-tar aag

dil-e-nadan ko hum samjha chuke the

mohabbat aag hai ai be-KHabar aag

suna mazmun jawab-e-KHat ka 'rasiKH'

uTha laya kahin se nama-bar aag

(691) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Aati Thi Kahin Dil Mein Nazar Aag In English By Famous Poet Mohammad Yusuf Rasikh. Na Aati Thi Kahin Dil Mein Nazar Aag is written by Mohammad Yusuf Rasikh. Read famous Poem Na Aati Thi Kahin Dil Mein Nazar Aag for youth and Student by Mohammad Yusuf Rasikh. Free Download Na Aati Thi Kahin Dil Mein Nazar Aag in PDF.