Na Murawwat Hai Na Ulfat Na Wafa Mere Baad

na murawwat hai na ulfat na wafa mere baad

mera sarmaya bhi duniya se uTha mere baad

bazm-e-matam hi mein aa jao zara mere baad

chahiye kuchh to tumhein pas-e-wafa mere baad

sham-e-madfan se ulajhti hai saba mere baad

kaisi bigDi hai zamane ki hawa mere baad

charKH kam-zarf hai sar-garm-e-jafa mere baad

us ko marqad bhi khaTakta hai mera mere baad

kaun leta tha gham-e-arz-o-sama mere baad

marne wala koi paida na hua mere baad

hae phir bhi na miTa un ki tabiat ka ghubar

kar chuke KHak meri waqf-e-saba mere baad

husn ka dekhne wala koi baqi na raha

kis se karte ho tum ab sharm-o-haya mere baad

tum ne do phul to madfan pe chaDhae hote

tum se itna bhi kabhi ho na saka mere baad

ho gaya qais ko bhi ishq ka dawa paida

ek afsana naya tum ne suna mere baad

hum ne dekha nahin us zarf ka pine wala

shisha karta hai ye saqi se gila mere baad

meri hasti se qayamat ke uThe hain fitne

chhup ke parda mein koi rah na saka mere baad

zulf khole hue rote hain wo pain-e-mazar

jazb-e-ulfat ne baDa kaam kiya mere baad

KHak-e-turbat se meri log shifa pate hain

maraz-e-ishq ki nikli hai dawa mere baad

ab wo aaram kahan ghair ke virane mein

shab-e-furqat hai giraftar-e-bala mere baad

barq ne rakkha hai derina talluq qaem

aashiyana mein mere phul paDa mere baad

TukDe hota hai jigar sun ke mohabbat ka bayan

koi sunta nahin bulbul ki sada mere baad

shaiKH-e-makka ne paDhai hai janaze ki namaz

log samjhe mujhe kya jaaniye kya mere baad

kyun baDhe un ka qadam gor-e-ghariban ki taraf

hath aaya hai unhen uzr-e-hina mere baad

nau-giraftar-e-bala ek mera dam nikla

dam-e-sayyaad mein koi na phansa mere baad

mujh se badnam hue shisha-o-jam-o-sahba

kya kahegi mujhe maKHluq-e-KHuda mere baad

fatiha kaun paDhe qabr ko Thukraate hain

un ko sujhi hai qayamat ki ada mere baad

malak-ul-maut se uljhenge wo ye Dar hai mujhe

dekhiye kis pe chale tegh-e-ada mere baad

be-hijabana uTha dijiye chehre se naqab

aur ab kaun hai mushtaq-laqa mere baad

mere phulon se bhi daman ko bachaya us ne

log samjhe hain taghaful ko haya mere baad

bul-hawas ishq ke parde mein numudar hue

ab kahan shewa-e-taslim-o-raza mere baad

zabh ke waqt bhi qatil ko duaen di hain

qatre qatre se Tapakti hai wafa mere baad

zulf khole hue aae ho saf-e-matam mein

KHub sujha amal-e-radd-e-bala mere baad

jaan dete hain shahadat ki tamanna mein gharib

lab-e-qatil pe ye jari hai sada mere baad

kakul-e-saqi-e-kausar ka tasawwur ban kar

qabr par aai hai rahmat ki ghaTa mere baad

guftugu raat ye thi hashr bapa kab hoga

baDh ke 'rasiKH' ne sar-e-bazm kaha mere baad

(598) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Murawwat Hai Na Ulfat Na Wafa Mere Baad In English By Famous Poet Mohammad Yusuf Rasikh. Na Murawwat Hai Na Ulfat Na Wafa Mere Baad is written by Mohammad Yusuf Rasikh. Read famous Poem Na Murawwat Hai Na Ulfat Na Wafa Mere Baad for youth and Student by Mohammad Yusuf Rasikh. Free Download Na Murawwat Hai Na Ulfat Na Wafa Mere Baad in PDF.